Be a Follower for more updates!

Wednesday, January 31, 2018

Poetic Titbits

Dil ke is taraazu mai kis tarah chahat to tolu,
Mohobabat ke panno ko kaise mai kholu,
Zubaan pe dil ki baaton ko kaise bolu?
Kya tumhara haath apne haathon mai lelu?

-------------------------------

Kaash tumhare sapno ka lekhak mai hota,
Saajan movie ka Sanjay Dutt jaisa hota,
Shayari pesh karta din raat tumhare kadmo mai,
Tumhare khayalo mai aur sapno mai hota...

-------------------------------

Is gustaakhi ko hamare maaf tum kardo,
Hothon pe apne ek muskurahat bhardo,
Tarse hue hai tumhari palko pe apni chabi ko dekhne,
Tasveer hi sahi... par apne palko mai to bhardo....

-------------------------------

In dooriyo ko kis tarah banaye apna hamsafar?
Tumne milne ka yeh faasla kabhi to karna padega safar..
Din ke ujaalo mai aur raat ke andhere mai kat te din saare..
Kyun ho tum mere dil ki baaton se yoon bekhabar?

-------------------------------

Did love ever talk a language so as to speak?
Did compassion speak English with an artistic streak?
Languages just make bonds much more weak..
You are my beauty... can I be your freak?

-------------------------------

Let your tears be mine to take,
Let your heart be mine to break,
A paradise for you I promise to make,
I will always be real and never be fake.

-------------------------------

Khud sa maanga tha khuda se,
Din dena baccho sa,
Zid dena chattan sa,
Samajh dena duniya sa,
Man dena paani sa,

Dil diya jo sabko bhaayein,
Zid di jo sabko haraye,
Samajh jaise keetabo se gehra,
Man se tere pyar kaise na ho paayein?

-------------------------------

In a universe where time is actually relative,
Where feelings of the heart are seemingly addictive,
Why worry about things which are not so corrective?
Let all this be one hell of a narrative!!

-------------------------------

Teri  saason se hoon mai waaqif,
Teri har adaa pe meri nazar hai,
Ye doori to hai sirf faaslon ki,
Teri har muskurahat ki mujhe khabar hai...

-------------------------------

Kis tarah ki ye deewangi ki har taraf sirf tum nazar aao,
Is sehme se dil mai bas tumko hi basaun,
Kya ikraar kare mohabbat ka tumse e haseen,
Bol do ek baar to is seene ko cheer ke dikhau.

-------------------------------



The Red Sun



Her:

The sun is red today
Of all the agonies and pain
That withered her color away
The sun is red today
The color of betrayal and happiness
Of lust and moments of sadness
The sun is red today
Almost like a never ending sunset
My thoughts are running deep
Words aren't falling into the right places
Of all the mysteries and dreams
I feel like losing myself in it
Red is the color I'm wearing
Uncanny as if it was predestined
The sun and me
So different
Yet alike.

Him:

The sun is red today
Of all the happiness and hope
Embracing the brightness  within
The sun is red today
The colour of blood and life
Of birth and moments of pain
The sun is red today
It finally ends in its serene sunset
My thoughts finally put to sleep
Words no longer have the spirit
Heart has no strength to beat
Upon the final moments my lips betray a final smile
The sun flows out of my veins
I patiently wait for it to trickle out
The light is now just a fade
The sun and me so different
Yet together we set.

Wednesday, September 20, 2017

Like Bubbles She Is...

She frolicked and danced high up in the air,
Like freedom itself without despair;
Not caring about anyone she didn't look down,
Every colour she saw added to her gown!


Like bubbles she was so full of hope,
Climbed the trees without a rope;
Where ever she went, got welcomed with smiles,
Children ran with her for many miles..


Cute as a button small and round,
Not by anyone could she ever be bound;
Like ideas in head she took leaps and hops,
Even her laughter sounded like bursting plops!

Tuesday, May 9, 2017

A Price For Freedom

Tears golden she hid all day... within her forceful smiles,
Her feet despaired in agony for all those depressed miles,
Wriggling in her feelings she tried to break the shackled mind,
Some little peace, some serenity was all she tried to find,
Alas! oh world cos all she caught was a twig in stormy sea,
Nothing to ever hold on on to... is the price she paid for being free....

Tuesday, April 4, 2017

Teri Meri Kahani....




He:

Kuch baatein khamosh si,
Jo boli na jaaye,
Dhadkane nam si,
Sirf mehsoos ki jaaye;

Kya chupate ho is khoobsoorat hasi ke peeche,
Jisko asaani se.. padha hi na jaaye...

She:

Khamoshi apne saath hai,
Haansi toh sirf jazbaat hai,
Khubsurti toh ek dhokha hai,
Na jaaney isme aisi kya baat hai...

Dhadhkano ko sambhal lo,
Sirf apne Zindagi pe dhyaan do,
Jo g mein aaye vo karo,
Par,,,
Bas dekhna kisi ko dukh na ho......

He:

Ab dhadkano ko kaise roke... saansein ruk jayegi,
Zindagi ka kya hai... fursat se kat jayegi,
Dukh kya de hum kisi ko... apne paas dukh tikta nahi,
Muskurat de sakte hai bus.. maayusiyo se humari kuch banti nahi!


She:

Dubara mulaquat hogi he nahi,
Dubara shiquayat hogi he nahi,
Dubara na tum na hum,
Dubara shayad Zindagi v nahi....

Ajeeb hu mai ajeeb he rahungi,
Kitni v koshish kar lo, battameez he rahungi,
Tum ho kavi aise kavi waise rahogey,
Mai wapas kavi v nahi aaungi.....


He:

Zindagi shayad rahe ya na rahe,
Saasein shayad chale na chale,
Jo lamhe saath beet gaye,
Unki yaadein zehen mai kaid hamesha rahe...


She:

Hamesha kuch rehta nahi,
Ab yeh dil kuch kehta nahi,
Saansein to ayenge jayenge,
Zindagi ka koi bharosa nahi....
Yaadein dhundhli padh jayengi,
Aaj meri yaad hai, kal na aayengi,
Lamhe beet jatey hai par,
Chaho gey v toh kal mai na rukungi.....


He:

Ajeeb nahi sabse alag ho tum,
Dil tumhare shayad ho chuka hai ghum,
Tameez ki duniya ki na ho tum gudiya,
Tumhari is bagawat to thoda to samajhte hai hum.


She:

Aap k samajh ko hamari salaam,
Par phir v na honge hum aapke gulaam,
Humari Zindagi na ho payi ek kalaam,
Avi v baki hai pahuch na mukaam.....

Gudiya tut jatey hai,
Umeedein ruth jatey hai,
Shikayat chut rehte hai,
Ab toh saasein kehti hai.....

Chalija is duniya se dur,
Kahi toh milegi tujhe suroor,
Tujhe koi boley noor,
Jo hoga tera huzoor.....

Karega na koi bahana,
Rahega tere saath tera thikana,
Tu v bach payegi ab,
Sab kuch theek karega Rab......


He:

Ghulaamo ke hum shaukeen nahi,
Karte kisi pari ki tauheen nahi,
Itne bure bhi hum nahi,
Ek baar karke to dekho yakeen;

Zindagi nahi bus dosti maange hai tumse,
Kahi yaari karke dekho to humse,
Dil todne ki adaa hume nahi aati,
Humare dosto ki kabhi muskurahat nahi jaati;

Door chale jaoge to shikwa nahi karenge,
Mohobbat bhi ho gayi to gila nahi karenge,
Jaha bhi rahoge bus dua hamesha karenge,
Farishta banake tumhe yaadon mai rakhenge!

Bahane kya karein kalam uski ijazat nahi deta,
Saath nibhaneki kabhi koi keemat nahi leta,
Rab ko jhuka denge tere iraado ke liye,
Us ek hasi ko mehsoos karne na jaane kab se sajda kiye...



She:

Darr na hota toh kya hota,
Main na hoti, tu v na hota,
Kisika kya aata kya jaata,
Koi v kisiko na khota,
Jo hona hai wahi hota,
Mai tujhe na milti na he tu mujhe kho pata,
Darr na hota toh kya hota,
Kisi v pal koi na Rota.....


He:

Darr ki ye kya ajeeb hai jo soch,
Jaise tumhare paav ka dardbhara moch,
Darr ki ye kyun hai tumhe itni aas?
Kho baithe ho tum isme apni bhook aur pyaas!

Jo hona hai, woh ek din hoga zaroor,
Darr jaga dega tumhare andar ka fitoor,
Rukhsat karo is ehsaas to tum e humsafar,
Na faaida koi paal ke ye fizool ka Darr...

She:

Darr ki dastaan kuch aur he hai, mere dost,
Kash Zindagi k darr ko koi bayaan na karein,
Faayda nuksaan toh sirf shabdh hai, mere humsafar,
Itni guzarish hai koi dikhawa na karein.....

Ashq se giley shiqvey mithtey nahi,
Kash saanson se kiye vaadein toottey nahi,
Har pal har lamha sirf ibadatt ho,
Sirf khushiyaan he khushiyaan ho, koi gham na ho....

Dard ki kahani ab bas mita do,
Ab Har koi sirf apne he saath ho,
Pal do pal k mehmaan hai ab,
Ab toh thodisi yaaron ji lene do....

Soch na paogein humari itni yaad aayegi,
Tumharey aatey aatey humari jaan chali jayegi,
Jaldi se saarein shikayatein bhulao,
Aakri baar he sahi, ab galey lag jao.....