Be a Follower for more updates!

Tuesday, April 4, 2017

Teri Meri Kahani....




He:

Kuch baatein khamosh si,
Jo boli na jaaye,
Dhadkane nam si,
Sirf mehsoos ki jaaye;

Kya chupate ho is khoobsoorat hasi ke peeche,
Jisko asaani se.. padha hi na jaaye...

She:

Khamoshi apne saath hai,
Haansi toh sirf jazbaat hai,
Khubsurti toh ek dhokha hai,
Na jaaney isme aisi kya baat hai...

Dhadhkano ko sambhal lo,
Sirf apne Zindagi pe dhyaan do,
Jo g mein aaye vo karo,
Par,,,
Bas dekhna kisi ko dukh na ho......

He:

Ab dhadkano ko kaise roke... saansein ruk jayegi,
Zindagi ka kya hai... fursat se kat jayegi,
Dukh kya de hum kisi ko... apne paas dukh tikta nahi,
Muskurat de sakte hai bus.. maayusiyo se humari kuch banti nahi!


She:

Dubara mulaquat hogi he nahi,
Dubara shiquayat hogi he nahi,
Dubara na tum na hum,
Dubara shayad Zindagi v nahi....

Ajeeb hu mai ajeeb he rahungi,
Kitni v koshish kar lo, battameez he rahungi,
Tum ho kavi aise kavi waise rahogey,
Mai wapas kavi v nahi aaungi.....


He:

Zindagi shayad rahe ya na rahe,
Saasein shayad chale na chale,
Jo lamhe saath beet gaye,
Unki yaadein zehen mai kaid hamesha rahe...


She:

Hamesha kuch rehta nahi,
Ab yeh dil kuch kehta nahi,
Saansein to ayenge jayenge,
Zindagi ka koi bharosa nahi....
Yaadein dhundhli padh jayengi,
Aaj meri yaad hai, kal na aayengi,
Lamhe beet jatey hai par,
Chaho gey v toh kal mai na rukungi.....


He:

Ajeeb nahi sabse alag ho tum,
Dil tumhare shayad ho chuka hai ghum,
Tameez ki duniya ki na ho tum gudiya,
Tumhari is bagawat to thoda to samajhte hai hum.


She:

Aap k samajh ko hamari salaam,
Par phir v na honge hum aapke gulaam,
Humari Zindagi na ho payi ek kalaam,
Avi v baki hai pahuch na mukaam.....

Gudiya tut jatey hai,
Umeedein ruth jatey hai,
Shikayat chut rehte hai,
Ab toh saasein kehti hai.....

Chalija is duniya se dur,
Kahi toh milegi tujhe suroor,
Tujhe koi boley noor,
Jo hoga tera huzoor.....

Karega na koi bahana,
Rahega tere saath tera thikana,
Tu v bach payegi ab,
Sab kuch theek karega Rab......


He:

Ghulaamo ke hum shaukeen nahi,
Karte kisi pari ki tauheen nahi,
Itne bure bhi hum nahi,
Ek baar karke to dekho yakeen;

Zindagi nahi bus dosti maange hai tumse,
Kahi yaari karke dekho to humse,
Dil todne ki adaa hume nahi aati,
Humare dosto ki kabhi muskurahat nahi jaati;

Door chale jaoge to shikwa nahi karenge,
Mohobbat bhi ho gayi to gila nahi karenge,
Jaha bhi rahoge bus dua hamesha karenge,
Farishta banake tumhe yaadon mai rakhenge!

Bahane kya karein kalam uski ijazat nahi deta,
Saath nibhaneki kabhi koi keemat nahi leta,
Rab ko jhuka denge tere iraado ke liye,
Us ek hasi ko mehsoos karne na jaane kab se sajda kiye...



She:

Darr na hota toh kya hota,
Main na hoti, tu v na hota,
Kisika kya aata kya jaata,
Koi v kisiko na khota,
Jo hona hai wahi hota,
Mai tujhe na milti na he tu mujhe kho pata,
Darr na hota toh kya hota,
Kisi v pal koi na Rota.....


He:

Darr ki ye kya ajeeb hai jo soch,
Jaise tumhare paav ka dardbhara moch,
Darr ki ye kyun hai tumhe itni aas?
Kho baithe ho tum isme apni bhook aur pyaas!

Jo hona hai, woh ek din hoga zaroor,
Darr jaga dega tumhare andar ka fitoor,
Rukhsat karo is ehsaas to tum e humsafar,
Na faaida koi paal ke ye fizool ka Darr...

She:

Darr ki dastaan kuch aur he hai, mere dost,
Kash Zindagi k darr ko koi bayaan na karein,
Faayda nuksaan toh sirf shabdh hai, mere humsafar,
Itni guzarish hai koi dikhawa na karein.....

Ashq se giley shiqvey mithtey nahi,
Kash saanson se kiye vaadein toottey nahi,
Har pal har lamha sirf ibadatt ho,
Sirf khushiyaan he khushiyaan ho, koi gham na ho....

Dard ki kahani ab bas mita do,
Ab Har koi sirf apne he saath ho,
Pal do pal k mehmaan hai ab,
Ab toh thodisi yaaron ji lene do....

Soch na paogein humari itni yaad aayegi,
Tumharey aatey aatey humari jaan chali jayegi,
Jaldi se saarein shikayatein bhulao,
Aakri baar he sahi, ab galey lag jao.....

No comments:

Post a Comment